kuchh is tarah nigah se izhaar kar gae jaise wo mujh ko waqif-e-asrar kar gae iqrar kar diya kabhi inkar kar gae be-khud bana diya kabhi hushyar kar gae yak-tai-e-jamal ki hairat na puchhiye har ma-siwa ke wahm se be-zar kar gae kuchh is ada se jalwa-e-mani ki sharh ki mere khayal-o-fikr ko bekar kar gae allah re un ke jalwa-e-rangin ki fitraten sare jahan ko naqsh-ba-diwar kar gae wade ka un ke zikr hi 'mahir' fuzul hai tum kya karoge wo agar inkar kar gae