jaise hon lashen dafn purane khandar ki buniyaad tale ehsas dabe hain kitne hi meri na-gufta rudad tale wo zat to ek hi zat hai na har lamha jis ko dhundhta hai momin nur-e-iman tale kafir sang-e-ilhad tale imroz-o-farda karte rahe tum aur yahan ahl-e-hasrat kitne hi kuchle jate rahe bar-e-yaum-e-miad tale kal tak nara aazadi ka jin ke honton ki zinat tha wo itminan se baithe hain ab khud dam-e-sayyaad tale kar zulm bapa lekin tarikh ka ye sach apne zehn mein rakh kitne hi zalim dafn hue mazlumon ki fariyaad tale hum gharb-zada zahrili faza ki zad mein aa hi sakte nahin hum karte hain tamir-e-tamaddun tahzib-e-ajdad tale wo aql-garan hum ishq-garan donon mein taqabul kaisa 'nadim' donon hi azal se rahte hain jab fehrist-e-azdad tale