har ek shai pe hai partaw-fagan bahaar ka rang gulon ka husn juda hai alag hai khar ka rang lahu mein jaise machalte hon barq-pare se ye intizar ka aalam ye intizar ka rang kuchh aaj dil ki kharabi guzar gai had se uda uda sa hai har ek gham-gusar ka rang kabhi to sun meri betabi-e-firaq ka haal kabhi to dekh meri chashm-e-ashk-bar ka rang tere karam se bhi niyyat na ishq ki badli wahi hai fitrat-e-masum-o-sada-kar ka rang bulao ahl-e-junun ko kisi bulandi se bigad chala hai bahut bazm-e-rozgar ka rang 'adib' kawish-e-gham kaam kar gai shayad ab un ke rukh se jhalakne laga hai pyar ka rang