gham dete hain sab koi bhi gham-khwar nahin hai ye shahr kisi ka bhi wafadar nahin hai kyon ho gae maghmum hamein dekh ke ahbab chehra hai hamara koi akhbar nahin hai milta hai jo ikhlas se sar apna jhuka kar aisa na samajhna ki wo khuddar nahin hai ye baat padosi ko ab achchhi nahin lagti aangan mein hamare koi diwar nahin hai is tarah mujhe chashm-e-hiqarat se na dekho hai kaun jo duniya mein gunahgar nahin hai ab aur qayamat kise kahte hain batao bhai ko bhi bhai se sarokar nahin hai kah deta hai har baat khari munh pe hamesha aaina kisi ka bhi taraf-dar nahin hai har shakhs andheron ki himayat mein hai masruf ab koi ujalon ka taraf-dar nahin hai jhuton ke taraf-dar 'zamir' aaj sabhi hain sach kahne ko ab koi bhi tayyar nahin hai