har shakhs ki aankhon ko rasai nahin deta wo sath hi rahta hai dikhai nahin deta haq baat bhi kanon ko bhali lagti nahin hai ho aql pe parda to sujhai nahin deta ghairon se shikayat hai janab aap ko afsos ab sath yahan bhai ka bhai nahin deta fan ke liye dil apna lahu us ne kiya hai be-wajh kisi ko wo badai nahin deta kis tarah wo khubi meri taslim karenge andhon ko to aaina dikhai nahin deta kah deta hai har baat bhali ho ki buri ho aaina kabhi apni safai nahin deta kuchh us ka bhi andaz-e-nazar badla hua hai ab main bhi 'zamir' us ki duhai nahin deta