phul hanse aur shabnam roi aai saba muskai dhup yaad ka suraj zehn mein chamka palkon par lahrai dhup ganw ki dharti banjh hui hai panghat suna suna hai pipal ke patton mein chhup kar dhundhti hai tanhai dhup koi kiran bhi kaam na aai jiwan ke andhiyare mein mere ghar ke bahar lekin leti rahi angdai dhup hum to sudh-budh kho baithe the hasti ke virane mein jaane kab zulfen lahrain jaane kab sanwlai dhup