har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gai har qadam par ek nai darpesh mushkil aa gai ya khala par hukmaran ya khak ke andar nihan zindagi dat kar anasir ke muqabil aa gai badh raha hai dam-ba-dam subh-e-haqiqat ka yaqin har nafas par ye guman hota hai manzil aa gai tutte jate hain rishte jodta jata hun main ek mushkil kam hui aur ek mushkil aa gai haal-e-dil hai koi khwab-awar fasana to nahin nind abhi se tum ko ai yaran-e-mahfil aa gai