gham-e-hayat ki lazzat badalti rahti hai ba-qadr-e-fikr shikayat badalti rahti hai harim-e-raaz umid-e-karam ki zauq-e-numud khulus-e-dost ki qimat badalti rahti hai kabhi ghurur kabhi be-rukhi kabhi nafrat shabih-e-josh-e-mohabbat badalti rahti hai nahin ki tera karam mujh ko nagawar nahin ye gham hai wajh-e-masarrat badalti rahti hai agar fareb hasin ho to phir fareb nahin khata muaf haqiqat badalti rahti hai