hae ye khauf ye dar raat kahan guzregi din to kat jaega par raat kahan guzregi koi diwar na dar raat kahan guzregi yun sar-e-rahguzar raat kahan guzregi koi sathi hai na hamdam na koi ham-saya aur phir lamba safar raat kahan guzregi ajnabi shahr mein rah rah ke khayal aata hai meri manzur-e-nazar raat kahan guzregi din to kaise bhi guzar jaega ai ham-safaro sham ke ba'd magar raat kahan guzregi gham se fursat hi nahin hai ki ye sochen 'akhtar' kis jagah hogi sahar raat kahan guzregi