gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uThane ki

gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane ki
falak ka dekhna taqrib tere yaad aane ki

khulega kis tarah mazmun mere maktub ka ya-rab
qasam khai hai us kafir ne kaghaz ke jalane ki

lipatna parniyan mein shola-e-atish ka pinhan hai
wale mushkil hai hikmat dil mein soz-e-gham chhupane ki

unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh aana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki

hamari sadgi thi iltifat-e-naz par marna
tera aana na tha zalim magar tamhid jaane ki

lakad kub-e-hawadis ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat ki zamin thi buton ki naz uthane ki

kahun kya khubi-e-auza-e-abna-e-zaman 'ghaalib'
badi ki us ne jis se hum ne ki thi bar-ha neki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close