khuda-parast hue hum na but-parast hue kisi taraf na jhuka sar kuchh aise mast hue jinhen ghurur bahut tha namaz roze par gae jo qabr mein sare wuzu shikast hue hamare dil mein jo wahshat ne aag bhadkai sharar bhi rah gae pichhe ye garm jast hue jo apne wade wafa wo kare karam us ka ki hum se to na wafa wada-e-alast hue ghurur kar ke nigahon se gir gae maghrur buland jitne hue utne aur past hue raha khumar ki sadme se chur shisha-e-dil magar na sail-e-mai tere mai-parast hue lagae khar lagin tattiyan bhi mehndi ki ruke na bu-e-chaman lakh band-o-bast hue khizan mein bhi na chhuta daman-e-chaman hum se hue jo sukh ke kanta to khar-bast hue bana hai panja-e-qassab dast-e-zulm un ka sab ungliyan huin chhuriyan ye tez dast hue habab se bhi habibon ke dil mein nazuk-tar nazar ke bhi jo lage thes ye shikast hue tadap dikha na ise 'bahr' mahi-e-dil ki ghazab hua jo wo tar-e-nigah shast hue