zindagi teri tamanna mein basar ho jae aur kya chahiye jo bar-e-digar ho jae dard ki dhup dhale aas ka mausam nikhre tere imkan ka pauda jo shajar ho jae apni sachchai ka phir mujh ko yaqin aaega zinat-e-dar-o-rasan mera jo sar ho jae zindagi karne ka aa jae saliqa jo hamein surat-e-khuld-e-barin apna ye ghar ho jae mujh ko bas itna hi saman-e-safar kafi hai meri manzil hi mera rakht-e-safar ho jae khil uthe phul ki manind muqaddar mera mere mahbub agar teri nazar ho jae hasil-e-zist wahi meri tamanna hai wahi wo kisi roz muqaddar ka samar ho jae gham-e-duniya se mile mujh ko rihai ai 'nabil' meri aahon ka agar us pe asar ho jae koi daman na ude zard hawaon se 'nabil' gar sahaara jo bashar ka ye bashar ho jae