ghar mein nazar aati nahin gham-khwar ki surat takte hain pade hum dar-o-diwar ki surat chhupti hi nahin ishq ke bimar ki surat kuchh aur hi hoti hai is aazad ki surat wade pe banai to hai iqrar ki surat aankhon se ayan hai magar inkar ki surat jab wasl mein kuchh hoti hai takrar ki surat dil bich mein aa jata hai diwar ki surat karte hain kuchh is shan se wo wasl ka wada iqrar ki surat hai na inkar ki surat ki did ki khwahish to wo munh pher ke bole dekhe to koi talib-e-didar ki surat 'mahmud' karam dekh ke zahid ne sar-e-hashr ye chaha ki ban jaun gunahgar ki surat