hue aur bekal dawa ke asar se

hue aur bekal dawa ke asar se
karen khak umid hum chaara-gar se

kahin abr-e-rahmat lagatar barse
ghazab hai kahin bund ko koi tarse

jabin jo na jhukti thi dair-o-haram par
wo uthti nahin ab tere sang-e-dar se

kai bar lab tak tera nam aaya
magar si liye hont duniya ke dar se

teri yaad phir aaj tadpa rahi hai
tapakne lage ashk phir chashm-e-tar se

zamane ki kuchh hum ko parwa nahin hai
magar gir na jaen tumhaari nazar se

ilahi ye kaisi hawa chal padi hai
bashar khauf khane laga hai bashar se

'bahaar' aaj koi naya gul khilega
tabiat bahut muztarib hai sahar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close