gham-e-ulfat mere chehre se ayan kyun na hua aag jab dil mein sulagti thi dhuan kyun na hua sail-e-gham rukta nahin zabt ki diwaron se josh-e-girya tha to main girya-kunan kyun na hua kahte hain husn khad-o-khal ka paband nahin har hasin shai pe mujhe tera guman kyun na hua dasht bhi is ke makin shahr bhi is mein aabaad tu jahan aan base dil wo makan kyun na hua ye samajhte hue maqsud-e-nazar hai tu hi main tere husn ki jaanib nigaran kyun na hua is se pahle ki tere lams ki khushbu kho jae tujh ko pa lene ka arman jawan kyun na hua tapte sahra to meri manzil-e-maqsud na the main kahin ham-safar-e-abr-e-rawan kyun na hua ajnabi par to yahan lutf siwa hota hai main bhi is shahr mein benam-o-nishan kyun na hua na-rasai thi mere shauq ka hasil to 'shakeb' hail-e-rah koi sang-e-giran kyun na hua