gulon pe khak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin chaman mein yaad-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin kahan ki manzil-e-rangin sahar to hone do hamare khwab thakan ke siwa kuchh aur nahin ye sham-e-ghurbat-e-dil hai yahan charagh kahan khayal-e-subh-e-watan ke siwa kuchh aur nahin nigah-e-shauq-e-musalsal usi ko chhede ja jabin pe jis ki shikan ke siwa kuchh aur nahin dayar-e-ishq mein tum kyun khade ho ahl-e-hawas yahan to dar-o-rasan ke siwa kuchh aur nahin sawad-e-sham-e-khizan hai to ho hamein kya gham nazar mein subh-e-chaman ke siwa kuchh aur nahin kare talash junun zulmat-e-khirad se kaho junun kiran hai kiran ke siwa kuchh aur nahin hamari naghma-sarai ke waste 'darshan' hawa-e-gang-o-jaman ke siwa kuchh aur nahin