kati hai umr subh-e-tamanna ke khwab mein raaten basar hui hain magar iztirab mein jalwon ki wo tadap ka hai aalam naqab mein jaise ki barq kaund rahi ho sahab mein qurban jaiye sitam-e-rozgar ke wo dekhna pada jo na dekha tha khwab mein kab tak rahengi sham-e-alam ki nawazishen taron se puchhna hai sahar ke jawab mein kyon aaj hadsat ke uthte nahin qadam ye kaun aa gaya hai rah-e-inqalab mein han aap hi se raunaq-e-bazm-e-khayal hai han aap hi ko hum ne pukara tha khwab mein bite dinon ki yaad bhulane ke waste pina pada hai khun-e-tamanna sharab mein larzan tha kaenat ka dil jin se ai 'kamal' wo dhadkanen likhi gain mere hisab mein