tu agar dil-nawaz ho jae soz ham-rang-e-saz ho jae dil jo aagah-e-raaz ho jae har haqiqat majaz ho jae lazzat-e-gham ka ye taqaza hai muddat-e-gham daraaz ho jae naghma-e-ishq chhedta hun main zindagi nai-nawaz ho jae us ki bigdi bane na kyun ai ishq jis ka tu karsaz ho jae husn maghrur hai magar tauba ishq agar be-niyaz ho jae dard ka phir maza hai jab 'akhtar' dard khud chaarasaz ho jae