gham-e-insan se jo dil shoala-ba-jaan hota hai wahi har daur mein memar-e-jahan hota hai dil mein rahraw ke agar azm-e-jawan hota hai gam bhatka bhi to manzil ka nishan hota hai hont sine se siwa soz-e-nihan hota hai shoala deta hai to kuchh aur dhuan hota hai nara-e-haq ko dabaate hain khuli bazm mein jab ye kisi gosha-e-zindan mein jawan hota hai kaun patthar hai guhar kaun parakhne ki hai baat dekhne hi se ye andaza kahan hota hai ishq mein shukr-o-shikayat mein koi farq nahin apna apna alag andaz-e-bayan hota hai main bhi insaf ka khwahan hun magar ai malik teri duniya mein ab insaf kahan hota hai kaun sa hai ye mohabbat mein maqam ai 'mulla' kalma-e-lutf bhi ab dil pe garan hota hai