gulshan hai isi ka nam agar hairan hun bayaban kya hoga hangam-e-bahaaran jab ye hai anjam-e-bahaaran kya hoga saqi ke dayar-e-rahmat mein hindu-o-musalman kya hoga is bazm-e-pak-nihadan mein aaluda-e-iman kya hoga ye jang to ladna hi hogi har barg se chahe khun tapke kanton se jo gul dar jaega dara-e-gulsitan kya hoga ulfat ko mitane ke dar pe duniya aur main is soch mein hun ulfat na rahegi jab baqi khwab-e-dil-e-insan kya hoga main dur bhi tum se ji lunga tum mere liye kuchh gham na karo mana ki pareshan dil hoga aisa bhi pareshan kya hoga jis hath mein hai shamshir-o-tir kya us se umid-e-barg-o-samar jo shakh-e-nasheman todega memar-e-gulistan kya hoga kis shai pe abhi hum jashn karen har-su kante kuda-karkat kuchh rang-e-chaman aae to sahi ghure pe charaghan kya hoga jo tishna-labon ke haq ke liye saqi se lade wo rind kahan jo dast-o-dahan ka khugar hai wo dast-o-gareban kya hoga saqi ki ghulami kar lega aur wo bhi kuchh qatron ke liye nadan sahi mulla lekin itna bhi wo nadan kya hoga aawaz-e-zamir apni sun kar 'mulla' ne bana li rah-e-amal ye fikr kabhi us ko na hui andaz-e-harifan kya hoga