na puchho saghar-o-mai aur mai-KHanon pe kya guzri

na puchho saghar-o-mai aur mai-khanon pe kya guzri
na ho saqi to ye puchho ki mastanon pe kya guzri

na kah mutrib meri chup se tere ganon pe kya guzri
zara puchh apni tanon se mere kanon pe kya guzri

junun kahiye jise ek mauj-e-bahr-e-la-shuuri hai
koi farzana kya samjhe ki diwanon pe kya guzri

main tufanon se lad-bhid kar salamat jab nikal aaya
to ye meri bala jaane ki tufanon pe kya guzri

wahi wahshat hai mere baad bhi jo mujh se pahle thi
guzarna thi jo guzri mujh pe viranon pe kya guzri

jalana tha mujhe aur un ko jal kar khak ho jaana
ab is ki fikr kya hai shama parwanon pe kya guzri

agar patthar ke dil hota to sunte us ka afsana
ki ahd-e-khusrawi ke baad aiwanon pe kya guzri

main un ki bazm mein chhup kar gaya chhup kar nikal aaya
khuda jaane ki mere baad darbanon pe kya guzri

samajh wale samajhte hain ki un par kya guzarti hai
wo nadan hai jo ye puchhe ki na-danon pe kya guzri

tere dast-o-zaban ki larzishen ma'lum hain zahid
magar ye to bata tasbih ke danon pe kya guzri

hui wabastagi jab aadam-o-hawwa ki jannat mein
na puchho muntazir huron ke armanon pe kya guzri

jab insanon ko ashraf ka mila tamgha to ye kahiye
pahadon aur darakhton aur haiwanon pe kya guzri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close