hasrat-e-lazzat-e-didar liye phirti hai dar-ba-dar kucha-o-bazar liye phirti hai fakhr se baad-e-saba sahn-e-chaman mein ai dost kuchh teri shokhi-e-raftar liye phirti hai jaan-o-dil hosh-o-khirad aur mataa-e-iman kya kuchh ek nargis-e-bimar liye phirti hai bulbul-e-naghma-sara ko bhi mile bar ki wo nazr ko shokhi-e-guftar liye phirti hai teri aawaz ki lai naqsh-e-kaf-e-pa ki kashish qaid mein naghma o gulzar liye phirti hai ai jafa-kesh teri kam-nigahi ke sadqe kitne ruswa sar-e-bazar liye phirti hai in dinon ju-e-chaman aks-e-hujum-e-gul se kuchh hadis-e-lab-o-rukhsar liye phirti hai dosto ko teri begana-washi ai zalim kis qadar jaan se bezar liye phirti hai aaj-kal un ki nigahen jo phiri hain 'naqwi' har nazar hath mein talwar liye phirti hai