gham-e-jaanan mein samo kar gham-e-dauran hum ne do fasanon ko diya ek hi unwan hum ne gham se ghabra ke jo ki koshish-e-darman hum ne aur bhi kanton mein uljha liya daman hum ne dekhen kya hota hai tajdid-e-nasheman ka saman muntakhab ki hai phir ek shakh-e-gulsitan hum ne gham se bachne ke liye waza kiye the jo usul kar diye nazuki-e-waqt pe qurban hum ne aaj 'mukhtar' asir-e-gham-e-dauran hai wo dil jis ko samjha tha harif-e-gham-e-dauran hum ne