sitam ki tegh chali tir bhi jafa ke chale jo baat haq thi sar-e-dar hum suna ke chale kuchh aisi dur na thin manzilen mohabbat ki wufur-e-shauq mein hum fasle badha ke chale jo aab-o-dana chaman se utha chaman walo har ek shakh pe hum aashiyan bana ke chale uthe to mahfil-e-rindan se tishna-kaam magar qadam qadam pe hum ek mai-kada bana ke chale sulag sulag ke rahe jo diya bujha na sake gae to jate hue aag wo laga ke chale 'khayali' sher hai kya ye to ahl-e-fan jaanen hum apne dil ki ba-shakl-e-ghazal suna ke chale