phulon ko apne panw se thukrae jate hain mal kar wo itr bagh mein itrae jate hain ai dil qarar sabr hai lazim firaq mein betabiyon se kya wo teri aae jate hain aae hain din bahaar ke sayyaad kah raha tair qafas mein bagh ke ghabrae jate hain chuhlon se chhed-chhad se waqif nahin hain wo kya gudgudaiye ki wo sharmae jate hain tar sharm ke pasine se aise hue hain raat malbus-e-khas dhup mein sukhlae jate hain nazuk kamar wo aise hain waqt-e-khiram-e-naz zulfen jo kholte hain to bal khae jate hain shukr-e-khuda-e-pak hai ai 'nadir'-e-hazin ummat mein hum rasul ki kahlae jate hain