gham-e-khamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun ek thahre hue dariya ko rawan rakhta hun ek badalti hui duniya ka saman rakhta hun un ki jaanib se mohabbat ka guman rakhta hun shauq-e-taza ho ki ho hasrat-e-baalida koi kuchh na kuchh silsila-e-ah-o-fughan rakhta hun kuchh jhijakti hui nazren hain kharidar jamil main bhi palkon pe sitaron ki dukan rakhta hun muntazir hain haram-o-dair ke goshe yani main ne jo shama jalai hai kahan rakhta hun maslahat hai ki tera tir na khali jae warna mutthi mein iradon ki kaman rakhta hun ghair ke hath mein aazadi-e-raushan ka charagh main faqat murda charaghon ka dhuan rakhta hun dagh hun lala-e-aqawam-e-jahan ke dil ka main bahaaron ke kaleje pe khizan rakhta hun teri bakhshi hui aazad jabin ki saugand ek sajda bhi ghulami mein garan rakhta hun koi manzil ho mujhe aabla-pai se hai kaam kuchh zamin kahti hai main panw jahan rakhta hun inqalabaat-o-azaem ke sanwarne ke liye ek aaina pas-e-lafz-o-bayan rakhta hun meri duniya mein na kaba hai na but-khana 'nushur' dil ke goshe mein magar dair-e-mughan rakhta hun