jis ki girah mein mal nahin hai gham pursan-e-haal nahin hai sabza ho ya dil tere qadam se kaun hai jo pamal nahin hai un ke karam ka rasta dekhen itna istiqlal nahin hai aaj gharibon ka duniya mein koi sharik-e-haal nahin hai us ka bhi koi rang-e-sukhan hai jis ki koi taksal nahin hai khush hain 'rashid' itna duniya mein kya khauf-e-amal nahin hai