gham-e-mohabbat sata raha hai gham-e-zamana masal raha hai magar mere din guzar rahe hain magar mera waqt tal raha hai wo abr aaya wo rang barse wo kaif jaga wo jam khanke chaman mein ye kaun aa gaya hai tamam mausam badal raha hai meri jawani ke garm lamhon pe dal de gesuon ka saya ye dopahar kuchh to moatadil ho tamam mahaul jal raha hai ye bhini bhini si mast khushbu ye halki halki si dil-nashin bu yahin kahin teri zulf ke pas koi parwana jal raha hai na dekh o mah-jabin meri samt itni masti-bhari nazar se mujhe ye mahsus ho raha hai sharab ka daur chal raha hai 'adam' kharabaat ki sahar hai ki bargah-e-rumuz-e-hasti idhar bhi suraj nikal raha hai udhar bhi suraj nikal raha hai