sarma tha magar phir bhi wo din kitne bade the us chand se jab pahle-pahal nain lade the raste bade dushwar the aur kos kade the lekin teri aawaz pe hum daud pade the bahta tha mere panw tale ret ka dariya aur dhup ke neze meri nas nas mein gade the pedon pe kabhi hum ne bhi pathraw kiya tha shakhon se magar sukhe hue pat jhade the ai 'ram' wo kis tarah lage par musafir jin ke sar-o-saman ye mitti ke ghade the