gham-e-sud-o-ziyan se khud ko jo aazad rakhta hai koi mausam bhi ho dil ko hamesha shad rakhta hai koi bhi haal ho shikwe gile karta hai jo sab se kabhi honton pe nale aur kabhi fariyaad rakhta hai zara si chuk par tanqid ki qainchi chalane ko mere sheron pe nazren gad ke naqqad rakhta hai kisi pyase ko pani se kabhi mahrum mat karna ye aisa kaam hai jis ko faqat jallad karta hai mayassar hai sukun-e-dil ki daulat us ko duniya mein khuda ki yaad se jo apna dil aabaad rakhta hai laga dete hain bazi jaan ki jo haq-parasti mein zamana aise logon ko hamesha yaad rakhta hai abhi jo sang-bari ho rahi hai waqt ke hathon 'said' is waste apna jigar faulad rakhta hai