jis ki khatir umr ganwai ek duniya ko bhuli main ji kahta tha us se kah dun lekin kaise kahti main meri zat ka jis ki nazar se itna gahra rishta hai us ki aankh samundar jaisi hari-bhari ek dharti hai band kiwadon par ek jaani pahchani dastak jo suni yunhi dupatta chhod ke bhagi nange panw hi pagli main kis ka chehra dekh liya tha sote sote bachpan mein khwabon ki khush-rang nadi mein barson dubi ubhri mein sab se bada ye jurm tha mera isi liye badnam hui sari duniya jahan giri thi usi mod par sanbhli main ye bhi sach hai aise kab tak mil-jul kar chal sakte the kuchh to wo bhi tha harjai thodi si thi ziddi main yunhi shayad jate jate us ne idhar bhi dekha ho jadon ka mausam tha lekin sar se pa tak bhigi main mere liye to jine ka ye ek sahaara kafi hai koi chahe kuchh bhi kah le teri nazar mein achchhi main meri majburi ne 'shabnam' jis ko bad-zan kar dala us ki qasam thi jaan se pyari jhuti kaise khati main