hum ne mana dil hamara aap ke qabil nahin kya ise fariyaad bhi karne ka haq hasil nahin jazba-e-ulfat na ho aisa to koi dil nahin aashna-e-gham nahin to zindagi kaamil nahin is jahan-e-arzu se dur jaana hai tujhe jada-paimai zamane ki teri manzil nahin haq bahaaron par hamara bhi hai ahl-e-gulsitan kaun se gul mein hamara khun-e-dil shamil nahin hai haqiqat-bin nigahon ki kami is daur mein tang-nazari se mubarra kya koi mahfil nahin garche duniya ke jhamelon mein hai uljhi zindagi ai khayal-e-yar phir bhi tujh se ye ghafil nahin ye talatum-khez dariya ye hawa-e-pur-khatar hai bhanwar mein naw 'khalid' dur tak sahil nahin