gham itne apne daman-e-dil se lipat gae tujh se bichhad ke hum kai qiston mein bat gae kyun ye dayar mere liye tang sa laga kya baat hai ki daman-e-sahra simat gae is se kahin bhi nam tumhaara nahin mila hum har waraq kitab-e-wafa ke palat gae tum ghair se nibhao wafa hum ko bhul kar jao tumhaari rah se hum aaj hat gae ab jhelna padega azab-e-gunah-e-ishq us but-numa khuda ke irade palat gae jab se mata-e-dard mili mujh ko ai 'zafar' qad mere samne mere yaron ke ghat gae