is gham ko gham kahen to kahen sau mein hum ghalat barson tumhaare gham se kiya hum ne gham ghalat kahna ye tum se hai ki falak darmiyan na ho rasm-e-sitam durust hai tarz-e-sitam ghalat kis ko tere itab ki duniya mein tab hai dam ki koi kahe to ghalat ek dam ghalat insan ka hawa pe madar-e-hayat hai kya zindagi mein jaan hai dam ka bharam ghalat wo bhi khiram-e-naz se bhula hai chaukdi karta hai ab to aahu-e-sahra bhi ram ghalat 'natiq' khayal-e-ishq baja fikr-e-aish rast kis wahm mein pada hai ye donon baham ghalat