phulon se chhup saka hai kahin gulistan ka haal hum jaante hain aaj hai jo is jahan ka haal nazron mein dar-o-gir ka aalam hai aaj bhi kis dil se hum bataen tumhein karwan ka haal bijli ki zad mein aa gaya fasl-e-bahaar mein al-mukhtasar yahi hai mere aashiyan ka haal naqsha kisi ki bazm ka aankhon mein phir gaya waiz ne aaj chheda jo bagh-e-jinan ka haal hai fikr gul ki is ko na kaliyon ka kuchh khayal hum kya bataen aaj jo hai baghban ka haal be-baal-o-par pada hun qafas mein chaman se dur kuchh to batao mujh ko mere gulistan ka haal mere hi gulistan ki nahin baat ai 'umid' hai ek hi sa aaj to sare jahan ka haal