gham kam hain zindagi mein zara aur paliye

gham kam hain zindagi mein zara aur paliye
jo masale nahin hain unhen bhi uchhaaliye

ek laghzish-e-qadam bhi kabhi sar uda gai
dastar chhod dijiye khud ko sanbaaliye

bas hath tera hath mein aa ne ki der thi
sab mehr-o-mah-o-arz-o-sama hum ne pa liye

rahi ye sang-e-mil nahin sang-e-rah hain
but bas gae hain kaba-e-dil mein nikaliye

ab ke hamein ishaara-e-anjum na tha koi
khinche zamin ne hath to langar utha liye

sarsabz dasht khauf se khashak ho gaya
hain mishalen huzur mein arman nikaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close