phulne-phalne lage hain sahab-e-zar aur bhi tang ho jaegi dharti muflison par aur bhi ye zamin zarkhez hogi khun pi kar aur bhi khetiyan ugla karengi lal-o-gauhar aur bhi har zamane mein subut-e-ishq manga jaega lal maon ke chadhenge suliyon par aur bhi phulte-phalte hain jazbe dard ke mahaul mein zakhm khaen to nikharte hain sukhan-war aur bhi aaftab ubhra hai jis din se nai tahzib ka ho gaya tarik insan ka muqaddar aur bhi jab chali tahrik tamir-e-watan ki dosto ho gae barbaad kuchh baste hue ghar aur bhi jis qadar bahar ki raunaq mein magan hota gaya badh gai be-raunaqi insan ke andar aur bhi main banata ja raha hun aur bhi kuchh aaine waqt barsata chala jata hai patthar aur bhi bastiyon par hadson ki chand-mari ke liye badh rahe hain auj ki jaanib sitamgar aur bhi munfarid ustad 'danish' bhi hain ghaalib ki tarah yun to duniya mein hain 'naz' achchhe sukhan-war aur bhi