khub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai aur mah-para hain lekin mah-e-kaamil ek hai haq-taala us ke zulfon se bachae al-hazar samna hai do balaon ka mera dil ek hai kaun sa rahat-rasan mashuq hai aafaq mein dusra bhi aafat-e-jaan hai jo qatil ek hai main tadapta hun to kahte hain asiran-e-qafas zakhm-khurda hum giraftaron mein bismil ek hai jis ka ji chaha chala aaya baghair az ittilaa aap ki sarkar mein bazar-o-mahfil ek hai shama chalti hai to parwane bhi jal jate hain sath wah kya in aashiq-o-mashuq ka dil ek hai rind-o-zahid donon puchhenge barabar dekhna tafarqe un mein dorahe tak hai manzil ek hai us ki zulfon ka tasawwur hai jo har dam dil-nashin main samajhta hun ki do laila hain mahmil ek hai jo muarrif kaamilon ke thi agar hoti wo aaj hum ko bhi kahte ye apni fan mein kaamil ek hai 'bahr' apni bhi fasahat jaante hain ahal-e-fahm dusre hum hain agar sahban-o-il ek hai