gul-o-saman nahin gulchin to khar rahne de chaman mein kuchh to nishan-e-bahaar rahne de tujhe junun ki qasam ai dil-e-sukun-dushman tamam umr mujhe be-qarar rahne de kahin na hasrat-e-khwabida phir se jag uthe nawazish-e-nigah-e-fitna-kar rahne de fareb-e-wada-e-farda bahut ghanimat hai mizaj-e-dost agar ustuwar rahne de ye hadsat-e-mohabbat hain aaj bhi dilkash agar sukun se gham-e-rozgar rahne de nafas nafas hai mohabbat mein daimi 'jauhar' magar jo zindagi-e-mustaar rahne de