gham ki saughat hai khamoshi hai chandni raat hai khamoshi hai main akela nahin ki baaten hon wo mere sat hai khamoshi hai meri barbaadiyon ki sazish mein zabt ka hat hai khamoshi hai kaisa aaseb hai ki har jaanib jashn-e-jazbaat hai khamoshi hai waqt ke zakhm zakhm honton par an-kahi baat hai khamoshi hai phir usi tarah garm mathe par kanpta hath hai khamoshi hai subh-e-nau ho ki sham-e-gham 'aslam' gosha-e-zat hai khamoshi hai