us ko bhule bina koi chaara nahin wo hamara nahin ishq ek bar hai ye dobara nahin wo hamara nahin koi phulon se khushbu ko aa ke chune koi gajre bune ye mohabbat hai is mein khasara nahin wo hamara nahin nind aankhon hi aankhon mein katti gai pau bhi phatti gai yaad karte rahe par pukara nahin wo hamara nahin koi shikwa nahin aashnai nahin jag-hansai nahin bas hamein us se milna gawara nahin wo hamara nahin hum to kahte hain wo bhi jale aag mein dard ke rag mein koi tashbih na istiara nahin wo hamara nahin ishq nashad hai ishq barbaad hai ishq fariyaad hai is samundar ka koi kinara nahin wo hamara nahin chand suraj sitare wahi aasman kuchh nahin darmiyan koi shikwa shikayat ishaara nahin wo hamara nahin biti yaadon ko dil se bhulana pada laut jaana pada apna is shahr mein ab guzara nahin wo hamara nahin ye kahani hamari tumhaari bhi hai aah-o-zari bhi hai koi jita nahin koi haara nahin wo hamara nahin