gham ki tahzib aziyyat ka qarina sikhen aao is shahr mein jina hai to jina sikhen maut aane ki sada lamha-ba-lamha chahen zist karne ka hunar zina-ba-zina sikhen har nahin han se badi hai ye haqiqat samjhen han bahut sikh chuke ab to koi na sikhen jhank kar aankhon mein sine mein utar kar dekhen naqsha-e-dil se koi raaz-e-dafina sikhen shahr-e-kotah mein sab past-nashin past-nishan kis ko hamraaz karen kis ka qarina sikhen falsafa ishq ka asrar fan-o-hikmat ke khanqahon se padhen sina-ba-sina sikhen dil to aaina hai shaffaf rakhen ai 'shahid' kyun karen bughz-o-hasad kis liye kina sikhen