log hairan hain hum kyun ye kiya karte hain zakhm ko bhul ke marham ka gila karte hain kabhi khushbu kabhi jugnu kabhi sabza kabhi chand ek tere liye kis kis ko khafa karte hain hum to dube bhi nikal aae bhi phir dube bhi log dariya ko kinare se taka karte hain hain to mere hi qabile ke ye sab log magar meri hi rah ko dushwar kiya karte hain hum charagh aise ki ummid hi lau hai jin ki roz bujhte hain magar roz jala karte hain wo hamara dar-o-diwar se mil kar rona chand ham-sae to ab tak bhi hansa karte hain