gham mein ahd-e-shabab jata hai aasman khak mein milata hai kaun gul bahr-e-sair aata hai bagh phula nahin samata hai arsh par bhi ghubar jata hai dil jo wahshat mein khak udata hai jaan deta hai sabza-e-khat par khizr har roz zahr khata hai tegh-e-qatil jo ho gai be-ab zakhm pani magar churaata hai zinde marte hain murde jite hain jab wo rashk-e-masih gata hai sahar-e-sham-e-wasl hai shab-gor maut aati hai yar jata hai achchhi padti hai jab koi talwar dahan-e-zakhm muskuraata hai khun-e-ushshaq ka utha bida be-sabab kab wo pan khata hai jigar-e-sang ho jahan pani wo wahan mujh ko aazmata hai tu jo gul hai to main bhi shabnam hun mujhe hansna tera rulata hai khush ye marne se hun mera lasha gor mein bhi nahin samata hai lala-e-koh se hua sabit khun-e-fariyaad josh khata hai lakh taqlid kijiye ai 'arsh' par kab andaz-e-'mir' aata hai