khayal-e-tark-e-ulfat ham-nashino aa hi jata hai wafur-e-be-dili mein aadmi ghabra hi jata hai tabahi ki ghadi shayad zamane par nahin aai abhi apne kiye par aadmi sharma hi jata hai nigah-e-dost ke aage sipar lana hai la-hasil ye tir-e-nim-kash qalb o jigar barma hi jata hai nazar aata nahin jis ko hujum-e-shauq mein kuchh bhi fareb-e-rahnuma aksar wo rah-rau kha hi jata hai nahin narmak-khirami karwan ki be-sabab 'kausar' khamoshi se jo uthta hai wo baadal chha hi jata hai