haqiqat samne thi aur haqiqat se main ghafil tha mera dil tera jalwa tha tera jalwa mera dil tha hua nazzara lekin yun ki nazzara bhi mushkil tha jahan tak kaam karti thin nigahen tur hail tha raha jaan-e-tamanna ban ke jab tak jaan-e-mushkil tha na thi mushkil to us ke baad phir kuchh bhi na tha dil tha nazar bahki hijab uttha hui ek raushni paida phir us ke baad bachna kya sambhalna sakht mushkil tha hijab-e-masiyat parda hi kis ke nur-e-irfan ka ki jannat se juda rah kar bhi main jannat mein dakhil tha bacha kar kyun duboya na-khuda ne is safine ko inhin maujon mein tufan tha inhin maujon mein sahil tha sujud-e-bandagi be-kar ijz-e-ishq la-hasil ye sach hai main tere qabil na tha tu mere qabil tha hiqarat se jise thukra diya bargashta shoalon ne wahi parwana-e-be-kas farogh-e-sham-e-mahfil tha nishan-e-manzil-e-maqsud jo aaghaz mein paya wahi sahra-ba-sahra tha wahi manzil-ba-manzil tha safina dubne ke baad in baaton se kya hasil jo dariya tha to dariya tha jo sahil tha to sahil tha wo mere pas tha 'shaukat' to main ne kyun nahin dekha jo wo mere muqabil tha to main kis ke muqabil tha