gham mujhe hasrat mujhe wahshat mujhe sauda mujhe ek dil de kar khuda ne de diya kya kya mujhe hai husul-e-arzu ka raaz tark-e-arzu main ne duniya chhod di to mil gai duniya mujhe ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kis ka adab apne pa-e-naz par karne bhi de sajda mujhe kah ke soya hun ye apne iztirab-e-shauq se jab wo aaen qabr par fauran jaga dena mujhe subh tak kya kya teri ummid ne tane diye aa gaya tha sham-e-gham ek nind ka jhoka mujhe dekhte hi dekhte duniya se main uth jaunga dekhti ki dekhti rah jaegi duniya mujhe jalwa-gar hai is mein ai 'simab' ek duniya-e-husn jam-e-jam se hai ziyaada dil ka aaina mujhe