khub-ruyan-e-jahan chand ki tanwiren hain putliyan aankhon ki raushan hon wo taswiren hain sher-goyon ko mazamin ki tauqiren hain kahne ko ek zamin saikdon jagiren hain yar se hoti hai gustakh jo hoti ho so ho zulfen hathon mein hain ya panw mein zanjiren hain koi aadab-e-mohabbat ko bhala kya jae zillaten jitni hain aashiq ki wo tauqiren hain karun tauba jo ho paida bun-e-har-mu se zaban jitne hain mu-e-badan utni hi taqsiren hain wo bhawen mar utarenge kisi din mujh ko jin ke qabze mein qaza hai ye wo shamshiren hain qaul-e-haq par hue kab muttafiq ahl-e-duniya ek quran hai jis ki kai tafsiren hain kya yaqin aae mujhe haal-e-bahisht-o-dozakh main hun jis khwab mein sab us ki ye tabiren hain sat dozakh kiye khalq us ne karimi us ki ek hafte ki hamare liye taziren hain chaar inten huin kis ke na mahall-e-nakhwat maqbare aaj salatin ki tamiren hain ek zarre ko jo qismat se na jumbish ho na ho khak udane ko to aandhi meri tadbiren hain koi khush-khwan ho qasid to bahut behtar hai mere name mein tarane ki bhi tahriren hain haddiyan jism mein jalti hain palite ki tarah ishq ke ism-e-jalali ki ye tasiren hain dil ko har-waqt jo rahti hai buton ki tasbih apne nalon ko samajhta hun ki takbiren hain 'bahr' arzhang-e-jahan ka na tamashai ho jin ka saya hai bala us mein wo taswiren hain