gham ne bandha hai mere ji pe khala hae khala phir nae sir seti aai hai bala hae bala ai gul-e-gulshan-e-jaan kar mujhe yak-bar nihaal khar hasrat ka kaleje mein sala hae sala dekh sakta nahin main gul kun har yak khar ke sath apne ham-rah raqibon kun na la hae na la zabh karne mein mere rahm na laya us ne balki itna bhi kaha nen ki gala hae gala jis ne khaya hai tere abru-e-khun-rez ka zakhm murgh-e-bismil sa lahu bich rala hae rala jaan-e-jaanan kun mere pas shitabi lao nin to yak pal mein mera jaan chala hae chala be-tarah ab to birah aag dahakti hai 'siraj' dil mera kyun na pukare ki jala hae jala