samea lazzat-e-bayan-zada zehn o dil sehr-e-dastan-zada fikr o tahqiq rehn-e-mohr-o-sanad talib-e-ilm imtihan-zada zat ki fikr hai qayas-alud zindagi ka yaqin guman-zada raat pahchan de gai sab ko subh chehre mile nishan-zada tak mein hai na ki taaqub mein tu shikari hai par machan-zada un ki fikr-e-rasa falak-paima apni sochen hain aasaman-zada khud se rishte nahin rahe lekin log ab bhi hain khandan-zada raat hai log ghar mein baithe hain daftar-aluda o dukan-zada